Saturday 14 March 2015

Chor Tha Zakhmon Se Dil Zakhmi Jigar Bhi Ho Gia Us Ko Rote Thay K Soona Ye Nagar Bhi Gia

Poet Habeeb Jalib

Type By
    *.___HIJAR___.*

Chor Tha Zakhmon Se Dil Zakhmi Jigar Bhi Ho Gia

Us Ko Rote Thay K Soona Ye Nagar Bhi Gia

Log Esi Soorat Pareshan Hain Jidhar Bhi Dekhiye,

Aur Wo Kehte Hain Koo-E-Gham To Sar Bhi Ho Gia,

Baam-O-Dar Par Hai Musalat Aaj Bhi Sham-E-Alam,

Youn To In Galion Se Khursheed-E-Sahar Bhi Ho Gia,

Us Sitamgar Ki Haqeeqat Hum Pe Zahir Ho Gai,

Khatam Khush Fehmi Ki Manzil Ka Safar Bhi Ho Gia...........!

Page 255

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

No comments:

Post a Comment