Tuesday 12 May 2015

Naat Likhne Ka Agar Mujh Ko Qareena Aa Jaye


Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

======
NAAT
======

Naat Likhne Ka Agar Mujh Ko Qareena Aa Jaye,

Jitna Dushwar Ho Jeena Mujhe Jeena Aa Jaye,

Us Safar Mein Kabhi Thakte Nahi Dil Aur Paon,

Jis Safar Mein Kahein Ahsas-E-Madeena Aa Jaye,

Doobne Walo Kabhi Dil Se Pukaro To Unhain,

Khud Bhanwar Le K Kinare Pe Safeena Aa Jaye,

Aisi Rehmat Ki Ghari Bhi Koi Aa Sakti Hai,

Main Madeene Mein Rahon Mujh Mein Madina Aa Jaye,

Mujh Gunah Gaar Bhikaran Ki Yehi Janat Hai,

Un (S.A.W.W) Ki Nisbat Ka Mere Hath Ka Khazeena Aa Jaye,

Ho To Sakta Hai Agar Aap (S.A.W.W) Karam Farma Dein,

Meri Aankhon Se Mere Dil Mein Madeena Aa Jaye......!

Book
Pehla Lafz Mohabbat Likha

Page 12

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

No comments:

Post a Comment