Saturday 4 July 2015

Main Apne Sar-E-Khawabon Ki Tokri Sar Pe Utha Kar

Poet Umar Raahi

Type By
     *_FAROOQI.54_*

Main Apne Sare Khawabon Ki,

Tokri Sar Pe Utha Kar,

Sar-E-Bazaar Bechne Aaya Hoon,

Koi Khareedar Hai Khawabon Ka ?

To Aaye Main Apne Bhawab Bech Raha,

Mazi K Hain Khawab To Haal K Bhi Hain,

Aur Aane Wale Waqat K Bhi Hain,

Kuch Talakh Hain Khawab To,

Kuch Sunhri Khawab Hain,

Aur Sub Se Barra To Mera Wo Khawab Hai,

Jis Mein Ik Pyara Ghar Hai,

Jo Hum Donoon Ne,

Tinka Tinka Jorr Kar Banaya Hai,

Jis Mein Har Taraf Phool Khilein Hain,

Lehrata Ik Gulshan Hai,

Jo Pyar Ka Mera Suhnri Khawab Hai,

Jo Sub Se Barrh Kar Mera Apna Hai,

Ye Khawab Bhi Mera Le Lo O Lene Walo,

Is Khawab K Badle Mujhe,

Wo Ik Lamha Lota Do,

Jab Koi Mera Apna Tha,

Ye Haqeeqat Thi Na Sapna Tha,

Mere Sare Khawab Le Lo,

Bas Mujhe Mera Mazi Ka Ik Khawab Lota Do.....................*

No comments:

Post a Comment