Wednesday 1 July 2015

Na Thi Taab Aye Dil To Kion Chaah Ki Barra Teer Maara Agar Aah Ki

Poet Dagh Dehlvi

Type By
    *.___HIJAR___.*

Na Thi Taab Aye Dil To Kion Chaah Ki,

Barra Teer Maara Agar Aah Ki,

Wohi Aik Hai Khaak Weer-O-Haram,

Dil Is Rah Ki Le K Is Rah Ki,

Khuda Jane Kia Ban Gai Dil Par Aaj,

Sada Hai Jo ALLAH ALLAH Ki,

Urate Ho Be Par Ki Tareef Mein,

Bandhai Hai Hawa Kis Hawa K Khawah Ki,

Ujare Hain Ghar Too Ne Kafir Bahut,

Kahan Jaye Makhlooq ALLAH Ki,

Tum Aana Humare Janaze K Sath,

Ye Takleef Karna Khuda Raah Ki,

Kabhi Do Kabhi Sao Milein Gaalian,

Muqarar Humar Na Tankhawah Ki,

Falak Sa Bhi Zalim Koi Aur Hai,

Magar Umar Us Ki Na Kohtah Ki,

Usay Hum Ne Dekha Jise Dekh Kar,

Nigah Ne Teri Sharam Na Gaah Ki,

Gia Dia Tere Pas Ek Aan Mein,

Musafat Bahut Kam Hai Us Raah K,

Kaha Bosa Aastaan Par Ba Tanz,

Nahi Hai Ye Dehleez Dargah Ki,

Nahi Be Sabab Un Button Ko Gharoor,

Kuch Is Mein Bhi Hikmat Hai ALLAH Ki,

Na Lete Gaye Bewafa Jan Kar,

Khabardar Too Ne Agar Aah Ki,

Yaka Yak Dasa Teri Kakal Ne Dil,

Us Iffi Ne Kia Chout Nagah Ki,

Ye Samjhaye Dete Hain Aye DAGH Hum,

Ata'at Kiye Jao Tum SHAH Ki..............!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
Send 8002

No comments:

Post a Comment