EID KA DIN
Eid Collcetion
Poettess Docter Najma Shaheen Khosa
Type By
*_FAROOQI.54_*
Nigahein Jise Dhoondti Hain Chaar Soo,
Wo Eid Ka Chaand Jab Bhi Nazar Aaye Ga,
Maah-E-Sayaam Ki Sub Barkton Ko Samete,
Sara Jahaan Eid-E-Saeed Manaye Ga,
Wadon Qasmon Aur Naved Ka Din,
Kuch Be Aas Logon Ko Phir Rulaye Ga,
Rangon,
Khushboowon Aur Umeed Ka Din,
Phir Be Mehal Be Aas Guzar Jaye Ga,
Barsoon Bichrre Howon Ki Deed Ka Din,
Jab Kabhh Aaya,
Kia Khoob Rang Laye Ga,
Koi Apne Hi Watan Mein Ho Ga Tanha,
Koi Pardais Mein Khushiyan Manaye Ga,
Chandd Hasrtein Apne Daman Mein Le Kar,
Aik Aur Din Eid Ka,
Phir Udas Guzar Jaye Ga.....................*
.
Book
Main Aankhein Band Rakhti Hoon
Page Number 280
No comments:
Post a Comment