Tuesday, 4 August 2015

Koi Mujh Ko Mera Bharpoor Sarapa La De Mere Bazoo Meri Aankhein

Poettess Noshi Gilani

Type By

*_FAROOQI.54_*

Koi Mujh Ko Mera Bharpoor Sarapa La De,

Mere Baazoo,
Meri Aankhein
Mera Chehra La De,

Aisa Darya Jo Kisi Aur Samndar Mein Gire,

Us Se Behtar Hai Keh Mujh Ko Mera Sehra La De,

Kuch Nahi Chaaiye Tujh Se Ay Meri Umar-E-Rawaan,

Mera Bechpan Mere Jugnoo Meri Gurriya La De,

Naya Muasam Meri Beenaai Ko Tasleem Nahi,

Meri Aankhon Ko Wohi Khawaab Purana La De,

Jis Ki Aankhein Mujhe Andar Se Bhi Parrh Sakti Hon,

Koi Chehra To Mere Shehar Mein Aisa La De,

Kasti-E-Jaan To Bhanwar Mein Hai Kai Barsoon Se,

Ay KHUDA Ab To Dubo De Ya Kinara La De.....................*
.
Page Num 48

No comments:

Post a Comment