Monday, 16 December 2013

Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibhane Wala

Poet Ahmad Faraz

Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibhane
Wala,

Wohi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamane
Wala,

Ab Ise Log Samajthe Hai Giraftaar Mera,

Sakht Nadeem Hai Mujhe Daam Mein Laane Wala,

Kia Kahein Kitne Marasim The Hamare Is se,

Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Phair Ke Jane Wala,

Tere Hote Howay Aa Jaati Thi Saari
Duniya,

Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Wala,

Muntazir Kis Ka Hon Tooti Hoi Dehleez Pe Main,

Kon Aay Ga Yahan Kon Hai Aane Wala,

Maine Dekha Hai Baharon Mein Chaman Ko Jalte,

Hai Koi Khwaab Ki Tabeer Batane Wala,

Kia Khabar Thi Jo Meri Jan Mein Ghula Hai Itna,

Hai Wohi Mujhko Sar-E-Dar Bhi Laane Wala,

Tum Takaluf Ko Bhi Ikhlas Samajhte Ho Faraz,

Dost Hota Nahi Har Hath Milane
Wala.......................!

             ===============
             Typed Arosa Eman
              ===============

No comments:

Post a Comment