Sunday 8 December 2013

Kash Sundal Se Meri Mang Ujale Aa Kar

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Kash Sundal Se Meri Mang Ujale Aa Kar,

Itne Ghairon Mein Wohi Hath Jo Apna
Dekhon,

Ton Mera Kuch Nahi Lagta Hai Magar
Jan-E-Hayat !

Jane Kion Tere Liye Dil Ko Dharkta
Dekhon !

Band Kar K Meri Aankhain Wo Shararat
Se Hanse,

Apni Ruswai Tere Naam Ka Charcha
Dekhon,

Ek Zara Sa Sheir Kahon Aur Main Kia Kia
Dekhon,

Neend Aa Jaye To Kia Mehfalain Barpa
Dekhon,

Aankh Khul Jaye To Tanhai Ka Sehra
Dekhon,

Sham Bhi Ho Gai Dhundla Gain Aankhain
Bhi Meri,

Bhoolne Wale Mein Kab Tak Tera Rasta
Dekhon,

Ek Ek Kar K Mujhe Chor Gain Sab
Sakhian,

Aaj Main Khud Ko Teri Yad Mein Tanha
Dekhon,

Boojhe Jane Ka Main Roz Tamasha
Dekhon,

Sab Ziddein Us Ki Main Poori Karon Har
Bat Sunon,

Aik Bache Ki Tarha Se Usay Hansta
Dekhon,

Mujh Pe Cha Jaye Wo Barsat Ki Khushbo
Ki Tarha,

Phool Ki Tarha Mere Jism Ka Har Lab
Khil Jaye,

Pankhri Pankhri Un Honton Ka Saya
Dekhon,

Main Ne Jis Lamhe Ko Pooja Hai Usay
Bas Ek Bar,

Khawab Ban Kar Teri Aankhon Mein
Utrata Dekhon,

Too Meri Tarha Se Yakta Hai Magar Mere
Habeeb!

Jee Mein Aata Hai Koi Aur Bhi Tujh Sa
Dekhon,

Toot Jain K Pigal Jain Mere Kache
Gharre,

Tujh Ko Main Dekhon K Ye Aag Ka Daria
Dekhon...............!

No comments:

Post a Comment