Sunday, 8 December 2013

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Khare Wo

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Khare
Wo,

Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool Pare
Wo,

Bhoola Nahi Dil Hijar K Lamhat Karre
Wo,

Ratain To Bari Thein Hi Magar Din Bhi
Bare Wo,

Kion Jan Pe Ban Aai Hai Bigra Hai Agar
Wo,

Us Ki To Ye Aadat K Hawaon Se Lare Wo,

Kion Jan Pe Ban Aai Hai Bigra Hai Agar
Wo,

Us Ki To Ye Aadat K Hawaon Se Larre
Wo,

Alfaz Thay Us K Keh Baharon K Payamat,

Khushbo Si Barasne Lagi Youn Phool
Jhare Wo,

Har Shakhs Mujhe Tujh Se Juda Karne Ka
Khawahan,

Sun Paye Agar Aik To Das Ja K Jarre Wo,

Bache Ki Tarha Chand Ko Choone Ki
Tamana,

Dil Ko Koi Shaye De De To Kia Kia Na
Arre Wo,

Toofaan Hai To Kia Gham Mujhe Awaz To
Dejiye,

Kia BhooL Gaye Aap Mere Kache Gharre
Wo.............!

No comments:

Post a Comment