Poet: Ahmad Faraz
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Us Ne Jab Chane Walon Se Ata'at Chahi.
Hum Ne Aadaab Kaha Aur ijazat Chahi.
Yuon Hi Bekaar Mein Kab Tak Behta
Rehta.
Us Ko Fursat Jo Na Thi Hum Ne Rukhsat Chahi.
Sekwa Naqadri-E-Dunia Ka Karen Kia K Humein.
Kuch Ziada Hi Mili Jetni Muhabbat
Chahi.
Raat Jab Jama Thay Dukh Dil Mein
zamane Bhar K.
Aankh jhapka K Gham Yaar Ne Khalwat Chahi.
Hum Jo Pamaal-E-Zamana Hain To Herat Kion Hai.
Hum Ne Aaba K Hawale Se Fazeelat
Chahi.
Mein To Le Aaya Wohi Pairahan-E-Chak Apna.
Us Ne Jab Khalat-O-Dastaar Ki Qeemat Chahi.
Husan Ka Apna Hi Shaiwa Tha Taaluk Mein FARAZ.
ishq Ne Apne Hi Andaaz Ki Chahat
Chahi......!
Book:
Aye Ishaq-E-Janoon
No comments:
Post a Comment