Hoi Hai Sham To Aankhon Mein Bas Gia Phir Too
Poet Ahmad Faraz
Type By
*.___HIJAR___.*
Hoi Hai Sham To Aankhon Mein Bas Gia Phir Too,
Kahan Gia Hai Mere Shehr K Musafir Too,
Meri Misal K Ek Nakhal-E-Khushk Sehra Hon,
Tera Khayal K Shakh-E-Chaman Ka Tair Too,
Main Janta Hon K Dunia Tujhe Badal De Gi,
Main Manta Hon K Aisa Nahi Bazahir Too,
Hansi Khushi Se Bichar Ja Agar Bicharna Hai,
Ye Har Maqam Pe Kia Sochta Hai Aakhir Too,
Fiza Udas Hai Rutt Muzmahil Hai Main Chup Hon,
Jo Ho Sake To Chala Aa Kisi Ki Khatir Too,
Jo Ho Sake To Chala Aa Kisi Ki Khatir Too,
FARAZ
Too Ne UsaY Mushkalon Mein Dal Dia,
Zamana Sahib-E-Zar Aur Sirf Sha'ir Too.................!
No comments:
Post a Comment